Friday 11 August 2017

Sikkayat !?

Maine apne aap se kuch puch dale sabal,
Par itfaak ka kya kare?
Jo har jabab me tera hi naam ata hai.

Maine tumse baat karna to chor dya,
Par iss yadast ka kya kare?
Jo tumko na bhula paya.

Maine tumhara khwabdekhna to chor dya,
Par iss sapno ka kya kare?
Wo to sala khud b khud dastak de deta hai.

Maine to tumhe sochna bhi chor dya,
Par iss mann ka kya kare?
Ghum-phir kar tumhi pe aa rukta hai.

Maine to tum pe marna bhi chor dya,
Par iss jindgi ka kya kare?
Wo to tumhare lye hi jinda hai.

Maine to tumhare ruh se bhi nata tor lya,
Par iss saanso ka kya kare?
Jo tumhare lye hi chlta hai.

Maine to bhukh ko risbbat de ke kaam kar lyya,
Par iss pyass ka kya kare?
Jo khud ba khud gayab ho gya.

Maine to sahar me rehna chor dya,
Par iss galiyo ka kya kare?
Jisme teri khushboo ka aabhash hota hai.

Maine to tanhai ke saath sauda kar lya,
Par iss GST jaise yaado ka kya kare?
Jo phir se tax banke yaado me atta hai.

Maine to dukho ke saath jeena sikh lya tha,
Par iss khushi ka kya kare?
Jo Tumhe dekhte hi aa jati hai.

Maine to hassi se samjhota kar lya tha,
Par iss aansu ka kya kare?
Jo tumhare aansu ko dekhte hi bin bulaye mehman ki tarah aa jati hai.

Maine asadhya hi rahna soch lya,
Par iss nind ka kya kare?
Sala diamond se bhi kimti ho chla hai.

Mai to pagal banke hi jeene ka soch lya ,
Par iss duniya ka kya kare?
Jo hame pagal banke jeene nahi deti hai.

Maine to vishwash karna bhi chor dya,
Par iss dhokhe ka kya kare?
Jo kisi film ki tarah aakho ke samne tumhari yaado ki picture chla jaati hai.

Maine to looggo ko pehchan na bhi chor dya,
Par iss parchai ka kya kare?
Jo hawa ki tarah mere charo oor teri yaad bankr ghumti rahti hai.

Maine to tumhe sab sach bata dya,
Par iss aadat ka kya kare?
Jiskee karam tumne mujhe hi khilona bana ke rakh dya.

Maine to bhuut samay ke bare me bhi sochna chor dya,
Par sala iss ghari ka kya kare?
Jo har bakt wahi samay dikha ke jajbati kr deta hai.

Maine to tumhe apna kehna bhi chor dya,
Par iss Kaminey dosto ka kya kare?
Jo har wakt masumiyat se guftgu kr jate hai.